Hindi vs English
Hindi vs English
kuch dino pahale ki baat hai Mai raste se ja raha tha, ek byakti ke sat mera takkar ho gaya aur wo achanak bol pada "Sorry.." mujhe laga wo mujhe marega par usne mujhe sorry kaha... maine socha ye sorry kis chidiya ka naam hai.??
mai usse darte hua bola thik h.. thik h...
aasal me mai gaon se Delhi kuch din pahale he aaya tha...
to mujhe jyada kuch jankari nhi thi, ki kon kaisa hai..
Fir mai dheere dheere raste se aage badhta gaya to mujhe ek aurat dikhi...
uske pass ek kutta tha.
aur wo usse bat kr rahi thi.
mai to soch me he padh gaya..
ye kya ho gaya sahar ko...
mai is bat se nhi chok tha ki wo aurat us kutte se bat kr rahi thi mai is bat se chok raha tha ki wo usse atpati bhasa me bat kar rahi thi...
bol rahi thi ki..
"Come hear tomi"
"go back"
"set down"
mai to waha se turant bhag nikla....
asal me mai kaam ke talas me Delhi sahar me ghum raha tha...
sham v ho chuki thi..
mai sochne laga ki ab mujhe ghar lautna chahiye...
wo ghr v mera khud ka nhi tha..
kamra kiray par liya tha...
to ghr aane ke bad hat pair dho kr akhbar padne laga akhbar English me tha...
mujhe kuch samajh nhi aa raha tha par phir v mai kosis kr raha tha padhne ki.....
ab mujhe nind aane lagi thi..
ghr me kuch khane ko tha nhi..
to mai aise he so gaya......

© Subrato Das,
книга «Hindi chachu».
Коментарі